Apne naam se apni rashi kaise pata kare puri jankari

Apne naam se apni rashi kaise pata kare puri jankari

  Naam se rashi kaise jane - Hamare samaj me rashi ka bahut mahtva hai. Rashi ka naam Wo hota hai jo hamare janm ke samay kuch vidwano jinhe pandit kaha jata hai ke dwara nirdhrit ki jati hai. Rashi se hum kisi ke Gun, Nature, Uska aane wala Aadi ko pata kar sakte hai. Rashi ka prayog log kisi shadi ke samay pandito dwara puchi jati hai. Jisse hamare rashi ke naam se hume ye pata chalata hai ki wo kaun se nakshatra se hai aur uske gun kaun-kaun se hai. Hamare janm ke samay chandra ki dasha dekhkar bhi log namkaran karte hai. Aaj ke post me hum apni rashi ke bare me  janenge ki humare naam ka pahla akshar kis rashi se sambandh rakhta hai.





राशियाँ कितनी प्रकार की होती है 


Rashi: - Rashi 12 prakar ki hoti hai. inke naam Mesh, Vrish, Mithun, kark, Singh, Kanya, - Tula, Vrishchik, Dhanu, Makar, Kunbh, Meen Rashiya aati hai. Ab aaiye ek - ek karke in rashiyo ke bare me jane. Sabse pahle Mesh rashi ke bare me jante hai.


नाम के पहले अक्षर से पता करे राशि 


Mesh Rashi :- Is rashi ka naam sabse pahle aata hai. Is rashi ke swami mangal hai. jinke rashi ka naam ka pahla akshar chu, che, cho, laa, lee, le, aa Aate hai. Wo log isi rashi ke antargat aate hai. Is rashi wale sundar aur aakarshak hote hai aur kisi ke dabaw mw aana pasand nahi karte hai.


Vrish Rashi :- ye dusri rashi hai jiska swami shukra hai. Is rashi me E, A, O,  wa, voo, vo, ve ke akshar wale naam aate hai. Is rashi ke log bahut mehnati hoti. waise to ye log shant hi rahte hai parantu gussa aane par ye gussa se tamaga uthte hai. 


Mithun Rashi :- ye teesri rashi hai jiske swami budh hai. Is rashi ke antargat jinke naam ke pahla akshar aata hai wo akshar hai - ka, ki, koo, gh, N, chh, ke, ko, H . Isi rashi walo ka swabhav apne patni ke prati adhik prem karne se hota hai. In logo ka damtya jeevan adhik sukhmay hota hai.


kark Rashi :- Ye chauthi rashi hai jiske swami chandram ji hai. Is rashi naam walo ka pahla akshar He, Hoo, He, Ho, Daa, Dee, Doo, De , Do aata hai. Is rashi wale bahut cool nature ke hote hai. Inki shant aur dhairya nature in rashi walo ki khasiyat hai.





singh Rashi :- Is rashi kaa number 5wa aata hai. Is rashi ke swami surya hai. Ma, Mee, Moo, Me, Mo, Ta, Tee, Too, Te naam ke pahle akshar wale isi rashi ke antargat aate hai. Is rashi wale log Bahut himmati hote hai. Aur log ghumate bahut hai aur kalpna bhi bahut karte hai.


Kanya Rashi :- Kanya rashi ke swami Budh hai aur iska number chathwan aata hai. Dho, Pa , Pee, Poo, Sh, N, Pe, Po akshar naam ke pahle aata hai wo log isi rashi me aate hai. Is rashi wale log mahtvakankshi hote inka dil jyada chalata hai aur dimag se kam kaam lete hai kyoki aise rashi ke log emotional bahut jyada hote hai.


Tula Rashi :- Tula Rashi 7th Rashi hai. Is rashi ke swami Shukra ji hai. Is Rashi ke walo ke naam ka pahla akshar Raa, Ri ,Roo , Re, Taa, Ti, Too, Te aata hai. Is rashi ke lo bahut aakarshak hote hai. Tatha inke mitra bhi bahut hote hai inki budhimani inki pahchan hoti hai.


Vrishchik Rashi :- Ye 8th rashi hai. To, Na, Nee, Noo, Ne, Ya, Yee, Yoo Akshar naam ke pahle aata hai. Iske swami Mangal hai. Isi rashi ke log Bimari se jyada pinit hote hai. Aur ye log asani se kisi ke dost nahi bante hai. Inki sharirik saranchana bahut achi hoti hai.


Dhanu Rashi :- Is rashi ke naam ka pahla akshar Ye, YO, Bha , Bhi, Dha, Pha, DHaa BHE  aata hai. Is rashi ka swami Vrihspati hai. Is Rashi wale ke log open minded hote hai. aur ye himmati bhi bahut hote hai. Jiske karan ye log bahut pasand bhi kiye jate hai.  


Makar :- Is rashi ke swami Shani hai. is rashi wale bahut parshrami hote hai aur apne lakshya ki prapti ke liye inhe bahut jyada mehnat karna padta hai aur ye log yatra karna pasand karte hai. Bho, Jaa, JI, Khe, KHo, Khee, Gaa, Ge, Akshar naam ke pahle aate hai.


Kubh Rashi :- Is rashi ke antargat nimn akshar aate hai - GOO, Ge, Go Saa,  Soo, Se, So, Daa. Is rashi ka sawami shani hai. Inka man ghar me basta hai. Ye log ache vyavhaar wadi hote hai jise log achi trike se pasand karte hai. Bahut wise bhi hote hai.


Meen Rashi :-  Ye antim rashi hai iska number 12 wa aata hai. is rashi ka swami Vrihspati ji hai. Is rashi ke naam ka pahla akshar Di, Doo, Th, Jh, N, De, Do, Chaa, Chi aate hai. Is rashi wale log ache dilwale hote hai. aur kuch bhi bardasht n karne wale hote hai. Meen Rashi ki girls bahut hi attrsctive hoti hai. 

अंत में, 

Hum Is jankari apne rashi ke naam ka pahla akshar lekar apni rashi pata kar sakte hai. Tatha apni roj ki dainik rashifal dekh sakte hai.

To ye thi rashi ke bare me jaankari yadi aapko pasand aaye to apne mitro me share jaroor kare . Aur bhi tricks ke liye hamari related post ko jaroor parhe.