USB or Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye

USB or Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye

create bootable USB or Pendrive . Bahut Pahle Jab aapko Microsoft Windows Install Karna hota tha to aap CD or DVD-ROM Ya phir Floppy disc ka prayog karte the. Aur iske sahare aap Apne Computer me windows install kar lete tha. Lekin wo Disc Jaldi Kharab ho jati hai. Aise me ek system aur aaya Wo tha Pendrive ya USB se bhi aap Apne Laptop ko Format karke Windows dal sakte hai. 

Aise Me Aapko chahiye ki Aapke Pas Ek usb or pendrive ho Jo external Storage ke taur par kaam karta ho. Yaha Aapko Jab is usb ke dwara windows ko install karte hai to aapko license nahi diya jata hai. Jabki Disc me Pahle se hi Pre-license window activate hota hai. 

Yaha Aapko Jab aapka Laptop Format karna hai to aap Ko Kam se Kam 8 GB ki USB or Pendrive chahiye jisse ki Aap Apne ISO file ko usme Download kar sako. Aise Me Jab Aapke pas 8 gb pendrive hai to aap ko ek aur step follow karna hoga. Wo hai Pen ko Format karne layak banane ka. 

Aapko Apne USB ko First Partition ke Layak banana hoga. Tabhi aap apne USB ke sahare kisi bhi laptop ya Windows ko format kar payenge. Jise Bootable Device kahte hai.

Bootable Device Ki Jaroorat Kyo Padti hai ?

  • Apne Laptop Ko Emergency Me boot kar sakte hai.
  • Apne Laptop ko repair kar sakte hai.
  • Apne Image File ko Aap Store karke rakh sakte hai. 
  • Jab bhi Aapke Laptop me virus ya other system infect ho gaya hai to dobara install kar payenge.
  • Apne Laptop ke liye Unique Windows System Install kar sakte hai.

Pendrive Ko Bootable kaise banaye

Pendrive ko Bootable banane ke liye Aap Niche ke Diye Step Follow kare.

aap Apne Pendrive or USB ko Apne laptop me Insert kijiye.

CMD programm ko Search karke Right click karke Run as administrator par click karke programme khol lijiye.

Ab Aap Command Me Type Kijiye diskpart ( yaha par aapko jaise likha hai waise hi type karna hai.

Ab Enter karne ke bad aapke hard drive ki sabhi storage system khul jayega. Ab Command me Type kijiye. list disk

Enter kariye. Phir Type kijiye select disk 1

Ab clean karne ka command dijiye. clean likhkar.

Ab Aap Nimn Step Follow karke Enter dabate jaye.

create partition primary > list partition > select partition 1 > active > FORMAT FS=NTFS QUICK > exit

Niche diya gaya Image se Aap isko samjh sakte hai.


yaha Par Aap Dhyan Rakhiye. Aap Apne USB device ko hi bootable bana rahe hai. Isme Aap apne usb device ki storage dekh sakte hai jo 7 GB ke Aas pas hoti hai. yadi aapke pas 8 gb ki USB hai.

Bas Aapko Karna ye hai ki Command type karna hai aur usko enter dabate hue follow karna hai . thik image ki tarah.  Aapke Device ko bootable banane me Kuch time leta hai. Jo Aapko percent me dikhega.

Jab Aap Apne device ko bootable bana chuke hai to aap usko Apne Image file ko rufus software ki madad se pendrive me extract kar lijiye. Phir aap Laptop Ke BIOS ki Madad se Laptop me Phir se windows install kar sakte hai.