ANDROID SE INTERNET SHARE KAISE KARE

ANDROID SE INTERNET SHARE KAISE KARE


#INTERNET SHARE KARNE KA TARIKA
Dosto, Aaj mai ek aisa Android Ka feature batane ja raha hu jo android mobile me uplabdh hai aur Aap is Features se Puri Tarah Se Enjoy kar sakte hai.Us feature ka naam hai Tethering &  hotspot jisse hum android mobile se intenet share kar sakte hai. To chaliye dosto us Android  feature ko kaise istemaal kiya jaye . hum apko batate hai.


Iske liye humko do chije  jaroori hai wo hai

1.android mobile( version 4.4)

2.second koi bhi multimedia mobile jisme wi-fi ho.


KAISE HUM INTERNET SHARE KARE

1. Sabse pahle android mobile ke setting me jaye.

2. More setting ya network setting par click kare.

3. Mobile network par click kare.

4. Ab tethering& portable hotspot par click kare.

5. Ab ek option khulega jisme on off &security option rahenge.

6. Ap apne hotspot me security bhi laga sakte hai.

7. Iske liye option wap2sk par click kare jisme apko possword dalne ke liye puchega.

8. Possword daale.aur save kar de.

9.Ap chahe to apna nam bhi hotspot par daal sakte hai. Jisse apka network pahchanne me asani ho.

10. Ab hotspot ko chalu kar de.

11. Ab setting save kar dijiye.

12.Ab dusre mobile ki wi-fi on kijiye. Aur network search kijiye jisme ap jo android mobile me name dale the wahi pakadega.

13. Us network par click karke connect kar lijiye.


AB AP ITERNET ACCESS KE LIYE TAIYAR HAI.

VISHESH - KUCH ANDROID MOBILO ME TETHERING & HOTSPOT KA VIKALP NAHI DETA HAI.


BLUETOOTH SE INTERNET ACCESS KARNA

Ap bluetooth se bhi internet access kar sakte hai. Iske liye bhi apko kuch setting karni padegi.

1. Iske liye ap mobile setting me jaye aur mor setting par click kare.

2. Tethering & hotspot par click kare.

3. Niche ek option hoga jisme blutooth tethering likha hoga us par click kare.

4. Ab dusre phone se pahle wale android ke bluetooth ke network ko pair kar lijiye..

5. Ab ap jis device se pair kiye the us par click kijiye. Ab apke samne do option khulenge jisme se internet par click kijiye.

6. Ab dusre android mobile me ek notification ayega jisme  allow to access point name ka ek messege ayega.usko accept kar lijiye.

7. Ab aap internet use ke liye taiyar hai.


VISHESH-SABHI ANDROID PHONO ME YE OPTION NAHI DETA HAI. YAH SERVICE SIRF ANDROID TO ANDROID KE LIYE HI HAI. YAH NOKIA KE KISI BHI JAVA MOBILE ME SUPPORT NAHI KARTA HAI.

Aap is Trick Ke dwara Android Phone Me Internet share kar sakte hai  . Aur Aap Laptop Me connect karke internet chala sakte hai. Aur Aapko Yadi Kisi ko block karna ho to sidha setting me jakar block kar sakte hai. Isse Aap Ka Internet bach Jayega.


ASHA HAI IS TRICK SE APKE GYAN KI VRIDHI HUI HOGI AUR ENJOIY KAR RAHE HONGE.