Sabse Acha Possword kaise chune taki aapki jankariyo ko koi chura n sake

Sabse Acha Possword kaise chune taki aapki jankariyo ko koi chura n sake


Aaj possword ke mudde ko lekar is post par charcha karenge. Possword kya hota hai. Possword ko kis prakar prayog kare. Possword ko kyo lagaye aadi in sabhi baato par aapko batayenge. Sabse aapko Next to Next batate chalate hai.



Possword kya hai?


Possword Jo ki ek aham pahaloo hai. Possword ka matalab hota hai Gupt Code or shabd. Possword ko kisi gadget ya electronic samaan me hi use kiya ja sakta hai. Possword ko Aap bahut tarah se prayog kar sakte hai. Aksar karke jo hum possword prayog karte hai wo kisi number me, Alphabet me, ya special character me hoti hai.
Possword ko laga kar apne kisi bhi samaan ko bacha sakte hai.

Read  - Twitter par possword kaise reset/change kare


Possword Kyo Lagaye?

Possword ko lagana tab khaas hota hai jab aapke personal aur khaas saamaan ki suraksha karni ho aur Aap possword lagakar hi bach sakte hai. Yadi aapko kimati saamaan jaise Gahne, Paise ki suraksha karni ho to aap Digital locker ka prayog kar sakte hai. Yaha par Khaas taur par jo baate karenge wo website par possword kaise lagaye aur select kare. Aksar karke secure  website ka prayog karna chahiye. Aur Jis site par aap koi account banane ja rahe ho to aap apne account ki suraksha ke liye possword ka prayog karte hai taki koi dusra aapke account ko access nahi kar sakte.

Read - Resume Or CV kaise banaye Job ya Naukari ke liye basic jankari 


Best Possword kaise chune

Mere Hisab se sabse acha possword wo hai jisme sabhi tarah character, symbol ka mix ho. Waise aap apne possword ko jitna lamba rakhe utna hi acha rahega. Ye bhi dhyan me rahe ki aapko possword yaad bhi rakhna hai nahi to kahi aisa na ho ki possword to laga liye aur baad me bhool gaye! Usse Medium ka possword aap kewal number aur alphabet ka prayog karke bana sakte hai. Sabse acha possword is tarah se ho to barhiya rahega - Sherani@767.

Yadi aap number ka istemal kar rahe hai asani se guess kiye jane wale number ka prayog kabhi na kare. Jaise aapne ye possword  laga liya 1111, 12345, Aapka Mobile number, Number ko yadi 50-70 ke biche ke number ko mix karke prayog kare to best rahega. Ek baat aur Alphabet yani Abcd me yadi aap possword lagate hai to to aap lower case, upper case ka jaroor prayog kare. Agar aap apne possword me koi special character dall dete hai. To Aapka possword ekdam se secure ban jayega.

Kisi Website par account banate samay kaisa possword lagaye?

Yadi aap kisi website par account banane ja rahe hai to aap apne possword ko hamesh strong hi select kare. Jaise R.p.@65769 Is tarah ke possword sabse secure rahte hai. Aur is tarah ke possword ko yaad rakhna sabse badi kathinayi hoti hai. To apne possword ko yadi kisi ache jagah note kar le to acha rahega.

Read More>> 
Yadi aapko jankari acchchi lage to social media par share jaroor kare